aankheiN, qissay, maiN aur tum
baataiN, taanay, maiN aur
tum yadaiN teree pyaree
yaadaiN
raahaiN, manzil, maiN aur
tum saaree mehfil aik taraf,
apni aankheiN, maiN aur
tum. merey haathoN per
mehndi sey
kaisay likha tha, maiN aur
tum tum ney bhee to socha
hoga
apna bachpan, maiN aur
tum Acha! tum bhi bhool gaye
ho
yaad dilaaooN! maiN aur
tum! apna bachpan kaisay
bhoolooN
TooTee guRyaa, maiN aur
tum chandni raat key hotay
meiN
kaisay sotay maiN aur tum! pehli baarish yaad hai tum
ko
mittee paanee, maiN aur
tum jaltey rehnaa kuRhtey
rehnaa
tanhaa tanhaa, maiN aur
tum
No comments:
Post a Comment