kuch lamhoN ko kuch
yaadoN ko hum apnay dil main samotay
haiN ye lamhay pyar kay
lamhay haiN jo yaad ayeiN
to rotey haiN ye chund
lamhay jo tumsay milay
mere jeevan ka sarmaya haiN maiN ne saaray jahan
ka pyar sanam tere roop
maiN jaisay paya hai ye
piyar teraa ehsaan teraa
maiN kabhee bhee bhool
na paooN gee aur jab tak meri saNsaiN hain meri jaan
tujhe maiN chaahooN gee
tu ne ishq basaa ke
saansoN maiN mujhe
hoNtoN se lagya hai mujhe
lay ke apni baNhoN maiN ik sachcha khawaab
dikhaaya hai maiN bhool
bhi kaisey paaooN gee tere
piyar ki is sachchaaee ko
wo raat jo tere saath kati
wo hum tum aur tanhaaee ko wo lamhay to ab beet
gaye aur door mere
manmeet gaye haan lekin
kuch din saath rahay aur
pyar ki baazi jeet gaye
seenay pay rakh do haath mere ik wada tum say laina
hai kabhi choRo gay na
saath mera mujhe saath
tumhaarey rehna hai lab
kholo aur itna keh do lillah
na ab inkaar karo tum door sahee per mere ho
yay mujh say tum iqraar
karo
No comments:
Post a Comment