Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh
do
Tum apna naam na likho,
gum-naam hi likh do Meri qismat mein gham-e-
tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho
magar ek shaam hi likh do Zuroori nahi ki mil jaaye
sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar
benaam hi likh do Ye jaanta hoon ki umr
bhar tanha mujhko rehna
hai
Magar pal do pal, ghadi do
ghadi, mere naam hi likh do Chalo hum maan lete hai ke
sazaa ke mustahiq thahre
hum
Koyi enaam na likho koyi
ilzaam hi likh do
No comments:
Post a Comment