Thursday, January 13, 2011

ghazal

kuch lamhoN ko kuch yaadoN ko
hum apnay dil main
samotay haiN
ye lamhay pyar kay
lamhay haiN
jo yaad ayeiN to rotey haiN ye chund lamhay jo
tumsay milay
mere jeevan ka sarmaya
haiN
maiN ne saaray jahan ka
pyar sanam tere roop maiN jaisay paya
hai ye piyar teraa ehsaan teraa
maiN kabhee bhee bhool
na paooN gee
aur jab tak meri saNsaiN
hain
meri jaan tujhe maiN chaahooN gee tu ne ishq basaa ke
saansoN maiN
mujhe hoNtoN se lagya hai
mujhe lay ke apni baNhoN
maiN
ik sachcha khawaab dikhaaya hai maiN bhool bhi kaisey
paaooN gee
tere piyar ki is sachchaaee
ko
wo raat jo tere saath kati
wo hum tum aur tanhaaee ko wo lamhay to ab beet gaye
aur door mere manmeet
gaye
haan lekin kuch din saath
rahay
aur pyar ki baazi jeet gaye seenay pay rakh do haath
mere
ik wada tum say laina hai
kabhi choRo gay na saath
mera
mujhe saath tumhaarey rehna hai lab kholo aur itna keh do
lillah na ab inkaar karo
tum door sahee per mere
ho
yay mujh say tum iqraar
karo

No comments: